Dosti - Kuch adhoore Lafj


Dosti.
Kabhi socha nahi kabhi vichara nahi,
to aaj socha ki kuch socha jaye, kuch likha jaye.Mujhe bhi nahi pata ki maine kya likha hai..
(bas likha hai ;-))

Hamare Girne pe phle jor se hanse, baad me uthaye shayad yhi dosti hai. 
kabhi nakaam hone par hame apne vajood pe yakeen dilaye to kabhi jyada hawa me udne par taang pakad k jameen pe laaye. 
Kabhi dil toote to samjhaye ki wo chipkali tere layak kaha to kabhi sundar kanya dekh ke bole "hata savan ki ghata, bhabhi hai teri, najar hata"

saamne se lene me koi kasar na chhodenge aur peeche se hamari chalisa gaayenge.

Man ho kabhi to hajaro luta denge aur agar 1 rupya udhar ho to jindagi bhar yad dilayenge.

Kuch anokha hi hai ye rishta jo shabdo me kaha bayaan hota hai.
meri ye baat yhi khatam hui to kya hua, abhi tum baki ho, hum baki hai
zindagi ki kitab me dosti ke kuch aur panne bharne baki hai.

Share:

0 comments